Dosto pichale kuch months se Android lollipop mobiles bahut popular hue hain. lollipop ek mobile operating system hai. KitKat ke bad lollipop aaya hai. yaha aaj ke es article me aapko lollipop os se related kuch tips or tricks hindi me bataye jayenge jo aapke liye bahut jaruri hain. chaliye pahle lollipop operating system ke bare me jante hain –
Lollipop Mobile Operating System :-
Android lollipop operating system lakho mobiles me aachuka hai. es lollipop Android operating system me kai badlav kiye gaye hain jisme material design, interface or performance me sudhar parmukh hain. Android ke es lollipop operating system me user ke liye search ke liye bhi kai features hain. kuck features ke bare me sayad aap jante honge lakin kuch hidden features bhi hain jo sayad aapko malum na ho. lakin koi bat nahi mai yaha aapko kuch important Android lollipop tips bataunga. ha lakin ek bat ka dhyan rahe ki ye features alag – alag mobiles me manufacturing ke hisab se alag – alag ho sakte hain.
1. Access Quick Settings :-
aapko Android mobile screen ko sirf upar se swipe karna hai. aapko quick settings mil jayenge. yaha Flashlight, Hotspot, Screen rotation or Cast screen controls jaise options hote hain. iske alawa aap yaha se wife, Bluetooth, mobile location ko on or off kar sakte hain. yaha se aap brightness ko bhi manually adjust kar sakte hain.
Android lollipop mobiles me swipe karne par pahla swipe notifications ko show karega or dusra quick settings ko. lakin agar aap quick settings chahte hain to upar se 2 fingers se swipe kare. aapko quick settings mil jayegi.
Popular 11 Android Secret Tips Jane
2. Deal With Notifications :-
hamare mobile me jab bhi koi message aata hai ya kisi whatsapp ya Facebook par koi message aata hai to wo mobile me notification ke rup me hame show hota hai. screen ko upar se niche swipe karne par notifications panel open hota hai. yaha hum un sabhi notifications ko dekh sakte hain. Android mobile ki lock screen me bhi ye message dikhaye dete hain or en par click karne se ense related apps open ho jate hain.
lakin agar aap ye sab nahi chahte to aap inhe band bhi kar sakte hain. iske liye ek bahut hi choti si simple process hai. sabse pahle aap Setting –> Notification Manager –> When Device Is Locked –> Don’t Show Notifications ko select kare. ab aapko notifications show nahi honge jab aapka Android mobile locked hoga.
Android Smartphone Ki RAM Kaise Badhaye ?
3. Set Up Priority Mode :-
Android ki suruaat me hame aane wale notifications se pareshan hona padta tha. na chahte hue bhi aisa hota tha. lakin ab Google ne ek naya features launch kiya hai ya “Do Not Disturb” features launch kiya hai jisko “interruptions” ke name se jana jata hai. aap apne jarurat ke hisab se priority mode set kar sakte hain.
aap interruptions settings ko volume up or down key press karke access kar sakte hain. isme None, Priority & All ye 3 options hain.
None – ye sabhi notifications ko disable kar dega.
Priority – ye sirf aapke customize kiye notifications ko dikhayega.
All – ab aapke sabhi notifications enable ho jayenge.
Root Kya Hai ? Phone Root Kaise Kare ?
4. Enable Battery Saver Mode :-
Android 5.0 lollipop ne Android mobile ki battery ko 90 % tak badhane ka promise kiya hai. battery saver mode ko enable karne ke liye Settings –> Battery –> Battery Mode ko tap kare –> Power Save ko select kare.
iske alawa yaha aapko aapke mobile ki battery life kitni bachi hai ye bhi dikahta hai matlab ki aapka mobile kitni der or chalega. iske alawa jab aap apne Android mobile ko charge karne ke liye charging pin ko plugin karenge tab apna mobile charge karte samay full charging me kitna samay bacha hai ye bhi dikhata hai.
Android Smartphone Ka IMEI Number Kaise Change Kare ?
5. Check Data & Set Data Limit :-
aap jab bhi koi data plan active karate hain to aap usko apne Android mobile me set kar sakte hain. iska aapko bahut bada fayda hota hai. manlo aapne 2GB data plan liya hai. ab agar aapne apne mobile ki setting me jakar data limit me 1.98 GB data set kar diya hai to 1.98GB data usage ke bad aapko warning message milna suru ho jayenge ki aapka data plan khatam hone wala hai. taki aap samay par recharge kara sake or apne main balance deduction se bacg sake. aap yaha apne use kiye gaye data ke bare me bhi jankari pa sakte hain.
Smartphone Root Karne Ke Fayde Kya Hain ?
6. Add New User & Guest Account :-
agar aapka device aapka koi friend istemal karna chahe to aap usko directly mana nahi kar payenge. aise me ho sakta hai wo aapke personal information or chats ko read kare. aise me aapko aacha nahi lagata. lakin Google ne iska bhi solution dhundh nikala hai. jiska name hai guest user mode. guest user mode karne ke bad aap apne mobile ko apne friend ke hath me de sakte hain or be relax kyonki ab aapke message or contacts ko wo nahi dekh payenge. kyonki guest mode me usko ek new mobile panel milta hai.
user banane ke liye Home screen se swipe karke quick settings panel se current user ko tap kare. more settings ko tap karke aap guest user ke liye phone calling feature ko enable kar sakte hain.
iske alawa aap new user Setting –> Users –> Add User se bhi bana sakte hain. new user ke liye apni khud ki home settings hongi jo aapse bilkul alag hongi. aap kisi user ko select karne ke liye notification panel ko niche ki taref drag karke User Icon par tap karke user select kar sakte hain. Guest User kids ke liye sahi hai.
Android Phone Ka Model Number Kaise Change Kare ?
7. Pin & Unpin The Screen :-
jaisa ki pin & Unpin iske name se hi pata chalta hai ki ye feature aapko ek nischit samay par aapki screen par jo kuch bhi hai use pin karne ki anumati deta hai and koi bhi app isse bahar nahi nikal sakte jab tak inhe Unpin nahi kiya jata. Pinning ko enable karne ke liye Settings –> Security –> Tap Screen Pinning option ko switch kare.
jis app ko aap pin karna chahte hain usko open kare or overview button yani multitask button ko press kare. ab isko right me swipe karke pin kare or left me karke pin out kare.
Android Phone Me App Auto Update Kaise Band Kare ?
8. Double Tap To Lock/Unlock :-
kya aap apne mobile ko bar – bar open karne ke liye power button ka istemal karte hain. kya aap isse bor ho chuke hain. to chaliye mai aapko ek aisa trick batata hu jisse aap bina power button press kiye apne Android mobile ko open kar sakte hain. matlab ki apne mobile screen par kahi par bhi 2 bar tap kare. aisa karne par aapka mobile unlock ho jaega. double tap wake ko enable karne ke liye Setting –> Display –> Double Tap To Wake ko enable kare. that’s it.
Android Smartphone Ko Unroot Kaise Kare ?
9. Search in Settings :-
Android lollipop mobile me settings adhik flexible hone ke karan bahut se features isme jud gaye hain. aise me kai features ke bare me pata lagana muskil sa ho jata hai. lakin ab aap setting ko search kar sakte hain. iske liye aap magnifying glass par tap kare or settings ko search kare. search box me apni related setting ko enter kare. that’s it. search result aapke samne hoga.
10. New Apps Ke Icon Home Screen Par Add Hona Kaise Band Kare :-
aap jab bhi apne Android mobile me Google play store se koi bhi new apo download karte hain to uska icon home screen par automatically add ho jata hai. or aise me kuch new apps se aapke home screen full ho jati hai. lakin agar aap chahe to en new download hone wali apps ke icon home screen par add hone se band kar sakte hain.
iske liye aap Google Play Store –> Setting –> Add Icon To Home Screen ko uncheck kare. that’s it. ab aap jab bhi koi new app download karenge to iska icon aapke home screen par add nahi hoga. Enjoy!!!
Final Words :-
Dosto Ye 10 Best Android Lollipop Mobile Tips Maine Aapko Bataye Hain. Mujhe Umeed Hai Ki Aap Enhe Ek Bar Jarur Enjoy Karenge. Apne Android Mobile Se Related Kisi Bhi Sawal Ko Aap Hamse Puch Sakte Hain. Or Ha Ek Bat Or Ye Jo Tips Aapko Maine Es Article Me Bataye Hain Ye Alag – Alag Android Lollipop Mobile Me Alag – Alag Bhi Ho Sakti Hain. Ye Uske Manufacturing Par Depend Karta Hai. Last Me Ek Bat Or Dosto Apne Opinions Hamare Sath Jarur Share Kare Or Hame Bataye Ki Aapko Ye Article Kaisa Laga ?
Hello sir mera micromax mobile me diamonds are creating likh raha hai kya kru